Thursday, January 1, 2009

feelings (3)

Hello Friends
Wish you all a very happy new year

So kaise chal rahi hai life? Plz friends main jo bhi likhu agar kisi ki life mein kuchh aisa huya ho jo shayad meri nazar mein galat ho aur aapko wo sahi laga ho to plz mujhe apna dost samjh kar maaf kar dena, coz main kisi ko hurt karne ke liye kuch nahi likhta ye sab mere saath ho chuka hai ya fir hone wala hai or in short feelings jo kisi ki bhi kisi ke liye bhi ho sakti hain.

Aaj main kuchh Sameer ke bare mein btata hu, shayad aap mein se koi samjh jaye use. Sameer- ek aisa insaan jiske paas bahut se dost hokar bhi koi dost nahi hai. Uske liye kisse-kahaniyaan bahut mayene rakhte hain, is liye bachpan se hi wo bas khwabo ki duniya mein hi jeeta aa raha hai aur aaj bhi ye sab isliye likh raha hu kyuki aaj bhi main un khwabo ki duniya se bahar nahi niklana chahta coz is duniya mein jo log rehte hain wo sirf apne bare mein hi sochte hain, nahi jeena chahta main ek tarfa zindagi,maine kabhi kisi ka bura nahi chaha par na jane kyu har baar mere saath bura hi hota hai, kisi se kuchh nahi manga par agar kuch expect kar bhi liya to usme bura hi kya hai, par is duniya ke insaan is baat ko samjhna hi nahi chahte, ye sab sirf mere saath nahi ho raha bahut se aur log bhi hain jinke liye kisi aur ki zindagi khud ki zindagi se jyada mayene rakhti hai, kyu nahi milta unko jise wo pana chahte hain? Kyu nahi milti unhe chhoti chhoti khushiyan? Kya unhe koi haq nahi hai khushiyan pane ka? Mujhe pata hai kyu, kyuki wo jo pana chahte hain wo galat hai, us insaan ki nazar mein jis-se wo expect karta hai, kyu bhul jate hain ke wo khushiyaan pane ke liye nahi balki khushiyaan baatne ke liye aaye hain is duniya mein. Bas un swarthi logo ko dekhkar khud bhi kuchh na kuchh pane ki zidd mein chal padte hain us raah par jis raah se sivaye khalipan ke kuchh nahi milta, Us raah par us insaan ka saath bhi nahi mil pata jise wo pyaar karta hai, kyuki wo hi to uski sabse badi galati hoti hai.

Friends life mein bahut kuch aisa ho gaya jise kabhi expect nahi kiya tha aur waise bhi hota to wahi hai na jo expect na kiya ho, waise bhi mujhe khud nahi pata kyu likh raha hu main ye sab, shayad apne aap ko samjhne ki ya fir samjhane ki koshish kar raha hu, umeed hai koi aur to samjh nahi paya shayad kisi din khud samjh jayu apne aapko.

Bahut baar socha hai ke sochna hi chhod du par kya karu, kabhi bhi khud ko rok nahi saka aisa karne se kyuki maine kaun sa apne bare mein kuchh sochna hota hai, sochna hota hai to hamesha apne friends ke bare mein hi sochna hota hai. Main ye sab isliye nahi likh raha ke ise padh kar shayad mujhe koi dost mil jaye, ya fir koi aisa person jo shayad mujhe samjh sake. Bas kuchh feelings hain jo kisi na kisi aur ke mann bhi hoti hain jise wo us insaan se nahi keh pata jise wo apna sabse achha dost samjhta hai lekin uske dost ke liye wo bas ek dost hai sirf ek dost jo shayad baki dosto jaisa hi hai, jinki uski zindagi mein koi jagah nahi hai, sach kahu to sirf unke liye likh raha hu jo is sameer jaisa hi hai par use koi samjh nahi paya. Aur ab to main khud nahi chahta ke mujhe koi aisa mile jo mujhe bhi samjhe, sahayd ab itni himmat nahi hai ke kisi ko ye ehsaas dilane ki bhi koshish karu ke wo mujhe apna sabse achha dost samjh sakta hai. Really i don’t need ya kahu k i dont want any friend, bas jo hain wo hi kafi hain. Agar dhundne jayu to pata nahi kitne hi sameer mil jayenge par har ek ka dard bhi to nahi baant sakta aur jiska baatna chaha wo khud hi nahi chahta. Kyu hota hai life mein aisa?Kyu banate hain hum kuchh anjaan rishte?

Sameer- sab kehte hain sameer hawa ka wo jhonka hota hai jo kisi na kisi ke liye us waqt aata hai jab use uski sabse jyada jarurat hoti hai, ek tohfa hota hai par kya ye sach hai? sahi hi to hai hawa ka jhonka hi to hota hai jo to aata hai aur ek pal mein hi chala jata hai, pata nahi kitne hi hawa ke jhonke aakar chale jate hain aur jane se pehle sabke ke liye ek message chhod jate hai, bas ye keh kar chala jata haihar jhonka ke jane se pehle kuchh aisa de jayo jise log zindagi bhar yaad kare. Bas main bhi kuchh aisa hi karke jana chahta hu, pata nahi life mein kya likha hai, kya karna hai, kuchh samjh mein nahi aata.

I feel ke hume kuchh aise dost milte hain jinhe hum to kisi ke bhi samne apna dost keh sakta hain,par wo shayad kisi ke samne hume apna dost nahi keh sakte, pata nahi ye unka darr hai ya fir yu kahe ke hum hi unke kabil nahi ke wo log hume apna dost samjh sake. Kitna aasaan hota hai kisi dost ke liye ye kehna ke main tumhe chhodna chahta hu, bina kuch soche samjhe..............., bas keh diya, kya bas kehne se rishte khatam ho jate hain? Par wo ye kyu nahi sochta ke jise wo chhodna chahta hai wo insaan use kitna pyaar karta hai. Kisi ke jane se kisi ki zindagi to nahi rukti par shayad mere jaise kuchh log jo dost ko khud se jyada mante hain unki life mein khalipan jarur aa jata hai.

Waise maine aaj tak kisi ko nahi bataya but mere paas ek aisa dost hai jise main kuchh bhi kahu, kuchh bhi puchhu wo mujhe ans jarur deta hai, Pata hai kaun................. Bhagwan,,,,,, Sabke paas hota hai ye dost par bas sirf use uski galatiyaan hi btate hain kyuki shyad hume is duniya se sikhne ke liye hi bas ye mila hai. Jab bhi kabhi main toot jata hu i alwayz ask him ke aapne mere saath aisa kyu kiya to mujhe mere sawal ka ans jarur milta hai.
Ek din maine puchha ke kyu bheja hai mujhe is duniya mein jaha sab apne bare mein sochte hain, kisi ka kisi se koi wasta nahi? Jaha log hass kar dhokha dete hain or us dhoke ko ek saza kehkar bhul jate hain, Kya wo saza baar baar milni jaruri hai? To bhagwan ne kaha.” Maine to tujhse pehle hi kaha tha ke mat ja par ye teri hi zidd thi ke nahi main jaunga aur sab kuchh badal dunga, sabko pyaar karna sikha dunga, rishton ki paribhasha samjhaunga aur ab kyu ro raha hai. Yahan ke log bas dard dena jante hain dard sehna pade to use kisi ki galati jo wo khud kabhi karte hi nahi. Maine tujhe bheja tha ke tu jaye aur sabko ye bataye ke kisi ko pyaar kaise dena hai, kisi ko vishwaas kaise dena hai aur agar aa hi gaye hain to bas dena hi sikho lena nahi, Par tu bhi yaha pahunch kar badal gaya aur aaj mujhse sawal kar raha hai ke maine tere saath ye sab kyu kiya hai? Tu bhi in logo jaisa ho gaya galati khud karte hain aur naam kis aur ka, Jaise sab dard dete hain waise hi tune bhi mujhe diya. Maine socha tha ke tu mera dost hai aur sab thik kar dega par tu bhi is duniya ka ho gaya, gaya to tu un logo ko sikhane ke liye par aaj mujhe padha raha hai ke maine galat kiya hai sabke saath. Kya maine kabhi kisi ko aise chhoda jiase wo mujhe chhod dete hain. Jab Jarurat padti hai to meri yaad aa jati hai warna khud mein hi khoye rehte hain, kya kabhi kisi ne ye socha ke mujhe mere dosto ki koi parwah nahi, main hamesha unke paas rehta hu par kya kabhi mere liye kisi ne kuchh kiya, jise main keh saku ke ye hai mera dost”. ........................... Ab aap hi socho dosto Main bhagwan ko kya jawab deta unke is sawal ka. Sach hi to kaha unhone mujhse, hum badal hi to gaye hain, Jab dil chaha kisi ko chhod diya aur jab ji chaha apna bana liya. Sachi mein tang aa gaya hu is behaviour se, kabhi kabhi sochta hu chhod du sabko par fir darr rehta hai ek baat ka ke agar aise chhod gaya to fir se ye sun-na padega ke tumne dhoka diya, tum chhod kar gaye the hum nahi, Kyuki kisi ne kisi ko na samjhne ki zidd jo kar rakhi hai aur isi zidd ki wajah se aksar lag chhod dete hain ek aise insaan ko jo shayad........................ I don’t hav words for dat person.

Ek din maine bhagwan se puchha ke har insaan ke paas koi aisa hai jise wo bahut pyaar karta hai par mujhe kyu nahi diya koi aisa to he said ke tujhe pyaar dene ke liye bheja hai pane ke liye nahi, Kabhi agar tu kisi ke bare mein sochega bhi to bhi wo tujhe pyaar nahi karega par haan tujhe ye haq hai ke tu use bina btaye us-se pyaar kar sakta hai par kabhi bhul se bhi use mat btana warna use hamesha ke liye kho bhi sakta hai, kyuki is duniya mein aksar aise hi log milte hain, jinke liye apna pyaar to sab kuchh hai par tere jaise dost ka pyaar samjhne ke liye waqt nahi hai ya fir tera pyaar unke liye bas ek pagalpan hai jo sirf tujhse hi shuru hota hai aur tujhpe hi khatam. Maine puchha ke aakhir kya hai ye pyaar jo log itna bhagte hain iske pichhe he said :-

Pyaar ek ehsaas hai jise kabhi kisi ko samjhaya nahi ja sakta, kisi ko bataya nahi ja sakta, kisi insaan ko kuchh aisa dena jise kabhi usne expect na kiya ho par ye zaruri nahi ke aapko bhi wo mile. Ye kisi bhi rishte ko bandh ke rakhta hai aur rishta agar dosti ka ho to shayad koi koi hi samjh sakta hai is pyaar ko. Agar aap kisi ko mann se pyaar karte hain to ye zaruri nahi ke wo bhi aapse pyaar kare Par iska matlab ye nahi ke aap us insaan se pyaar karna hi chhod do, aap use pyaar karte raho kyuki ho sakta hai ek din wo badle, ho sakta hai use samjh aaye ke wo kya kho raha hai agar kabhi na bhi samjh paya to main ek aise insaan ko jarur bhejunga jo tumhe wo pyaar dega jiska tumhe intzaar hai par isme bahut waqt lag sakta hai. Pyaar sirf dene ke liye hai na ke paane ke liye, aap kabhi kisi galat insaan se pyaar nahi karte aap to hamesha sahi insaan se hi pyaar karte ho par shayad wo insaan hi aapko ya aapke pyaar ko samjh nahi pata ya fir uske paas aapke liye itna waqt hi nahi hai par ek din jarur aata hai jis din use iska ehsaas hota hai lekin sharat hai ke aapka pyaar uske liye sacha hona chahiye.

Na jane kyu hum log bas ek chhota sa ehsaas dene se bhi darte hain..... Pyaar.......kya nahi de sakte hum sabko, agar sabko nahi bhi de sakte to kuchh aise logo ko hi jo hamare bahut kareeb hote hain ya jinke liye hum bahut mayene rakhte hain. Kabhi socha hai ke unki humse kuchh umeeden hain kya hum unki un umeedon ko pura kar payenge. Haan shayad tab jab hamari khud ki abhilashayen puri hogi tab aur agar na ho payi to kabhi kisi ko kuchh nahi denge chahe kuchh bhi ho jaye hota hai na aksar aisa hi??? Chalo ji chhodo hume kisi se kya lena hum khush hain to kisi ki khushi se hume kya. Har waqt kuchh pane ki chah hume kuchh dene se rok deti hai. Aksar hum sochte hain agar hume pyaar nahi mil paya to hum kisi aur ko kyu de aur agar mil jaye to fir hume aur kisi se kya hamare paas to hai na. Kya pyaar kisi ek insaan se hi kiya jata hai.............................shayad sab kahenge haan........Par main nahi manta is baat ko pyaar to har us insaan se kiyaja sakta hai jo aapke bare mein sochta hai, jise aap par sabse jyada vishwaas hai, jisko aapse kayi umeeden hai par na jane sirf insaan ke liye hum har rishte ko apne se alag karne se bhi nahi katrate. Kyu bhul jate hain un rishton ko jinhone bachpan se hume sambhala hai?Kyu bhul jate hain hum un insaano ko jinhone humari har galati ko maaf kiya? Kyu bhulna chahte hain har us insaan ko jo hume pyaar karta hai? ...............Bas ek insaan ke liye jise hum sabse jyada pyaar karte hain, wo hi sab kuchh hai hamare liye. Kyu karte hain hum aisa apne saath?....... main janta hu ke ek din aata hai jab yahi galatiyaan hume sabse jyada rulati hain aur us din koi nahi hota hume sun-ne wala, aur na hi koi puchhta hai ke kya huya hai. Us din hume is baat ka ehsaas hota hai humne kya khoya hai aur kya paya hai. Lekin us waqt tak jo hum kho dete hain wo shayad fir kabhi nahi mil pata...............Friends waqt sab kuchh dikhata hai, wo bhi samne aata hai jo hum kisi ke saath karte hain aur sochte hain ke jo kiya tha sahi tha par jab samne aata hai to pata chalata hai ke kitne galat the hum par us waqt kisi ko ilzam bhi to nahi de sakte, kyuki kiya bhi to humne hi tha. Kyu hota hai aisa jo insaan apni har galati ke liye kisi aur par ilzam lgata raha ek din jab khud aayine ke samne khada hota hai to khud se nazarein bhi nahi mila pata, tab kisi ko ilzam nahi de pata, kyu ??????????? Shayad iska jawab hi hume us din milta hai jis din hum bahut kuchh kho chuke hote hain.

Arey yaar it’s 3:00 a.m. Aaj ke liye itna hi aur waise bhi aaj se to mera new year resolution start huya hai aur agar aaj hi use bhul jayunga to bas fir to ho gaya kaam.

Take Care Friends Sameer’ll be back.

Tuesday, December 23, 2008

feelings (2)

Hello friend
How are you? must be fine

Once again i’m here with you to share my oh sorry our feeelings with everyone.

“Dosti” shayad is shabd ko samjhne ke liye hi hume ek umar chahiye par kya wo bhi bahut hogi ye samjhne ke liye? Dost jo shayad hamare liye to sirf ek aisa naam hai jo hum kisi ko bhi de sakte hain par kisi aur ke liye ek umeed, ek aisa ehsaas jise hum kabhi bhi samjh na payen.Samjhe bhi kyu jab hume uski koi jarurat hi nahi hai aur agar hai bhi to bas us waqt jab kuchh chahiye, arey jiski jarurat hai agar wo hume mil raha hai to bhala uska kya karna jo humse dur jata hi nahi. Par kya sach mein wo humse kabhi dur nahi jayega???? Ek din aisa hoga jab hum to use pukarenge par wo wapis nahi aayega, hum royenge bhi par wo hume nahi puchhega, kya tab hum dosti ko samjh chuke honge...........................????????? Shayad haan ya fir abhi bhi nahi.

Dost shayad jiski priksha hum har waqt lete hain aur wo hamesha usme paas hokar bhi fail hota hai hamare liye. Chahe dhup ho, chahe barsaat, chahe dhund ho ya fir andheri raat par hanara dost koi parwah kare bina hamare paas pahunch hi jayega par kya hamara pyaar .......................???? aayega......But not sure!!!!!!!!! Kyu dost ko hum bas is liye apne paas rakhte hain, kya har baar priksha uski hi honi chahiye kabhi hum khud uski jagah nahi khade ho sakte?

Dost jise hum par khud se jyada vishwaas hai par hume us par nahi. Kya ye kami usme hai? Nahi ye kami to hamare andar hai jise jante huye bhi hum dur nahi kar sakte kyu ki jis insaan se hum pyaar karte hain, hamara vishwaa/s to wo hai. Pyaar, pyaar pyaar ek ratt jo sab kuchh bhula deti hai, jise humne apne mann mein basa rakha hai, wo hi sab kuchh hai. Kya dost ka pyaar pyaar nahi ?

Pyaar jise hum apna har ek pal de sakte hain, jiske saath har sham bita sakte hain, jiske bina zindagi hi adhuri si hai. Kya dost ko wo pal nahi de sakte, kya uske bina hum adhure nahi hain?

Dost jise hamari har baat achhi lagti hai, jise hamari har galati bhi apni si lagati hai, har daant ek mithi jhapi si lagti hai,jo hamari ek muskurahat mein bhi apni khushi dhundh leta hai, hamari narazgi bhi hass ke seh leta hai, hamara har dukh apna samjhta hai, aakhir kyu karta hai wo aisa......???????
Kya chahta wo humse? Kyu hai wo hamare itne kareeb? Kya rehta hai har pal hamare saath? Kyu sochta hai sirf hamari hi khushi, Kya use khushi ka koi haq nahi hai?

Kya humne kabhi socha hai ke bhagwan ne ye dosti ka rishta hi kyu banaya? Kya jarurat thi iski? Sab khush to hain. Kisi ko dost ki jarurat hi kya hai?................. Kyuki Shayad ye hi wo rishta hai jo hume har rishta nibhana sikhata hai. Shayad isi rishte main do insaan ek dusre ko sikhate hain ke kisi ko pyaar kaise diya jata hai. Shayad yahi wo rishta hai jo kisi se bhi banaya jata hai ...................aur haan shayad yahi to wo rishta hai jise aasani se toda ja sakta hai, shayad isj rishte ko hum aasani se bhula sakte hain, shayad yahi rishta hai jo kisi ko kareeb aur kisi ko dur le jata hai. Par kya sach mein ye kisi ko dur le jata hai...........?.............. Nahi dosto sirf ye hi to wo rishta hai jo do ajnabi logo ko itna kareeb le aata hai jise hum pyaar kehte hain, Agar ye rishta hi pyaar ki neev hai to kahi isi wajah se to nahi hum isse dur bhagte, kya isi wajah se hi to nahi hum apne dost ko bhulna chahte? Par kya ye thik hoga...............................?Kya kisi dost ke pyaar ko thukrana sahi hai ...?????

Ek dost jo sacha hai, jiske mann aap har pal ek vishwaas bankar rehte hain bhala uske pyaar ko kyu thukrana? Jo insaan hamesha aapki hi khushi chahta hai bhala usse dur kyu jana? Jiske mann mein koi chhal nahi use khud se kyu dur karna? Jo bina swarth ke har pal aapke saath ke liye tarasta hai use kyu chhodna? Jiski zindagi ek dost se shuru hoti hai aur us rishte ko samjhne ke baad wo apne har rishte ko nibha raha hai, aakhir wo insaan galat kaise ho sakta hai? ...........Galat to shayad hum hain jo use jaan nahi paate kyuki hum kisi se pyaar karte hain aur hamari zindagi usi se shuru hoti hai aur usi pe khatam...........................bhala hum ek dost ke pyaar ko kyu samjhenge.?

Jab kabhi bhi hum us insaan se baat kar rahe hote hain jise hum pyaar karte hain aur agar hamare dost ka phone aa jaye to hum use ignore kar dete hain, kyuki wo hamre liye jaruri nahi hai. Aur agar kabhi dost se baat kar rahe ho aur uska phone aa jaye to dost ko bina kuchh kahe hi phone disconnect kar dete hain, Kyu? Kya dost ki baat jaruri nahi ho sakti? Kya us waqt usko hamari jarurat nahi ho sakti ?Kya uski baat hamare liye koi mayane nahi rakhti? Kyu pal pal hum use ye ehsaas dilate hain ke meri zindagi mein teri jagah kuchh nahi hai, tu apni jagah bnane ki koshish mat kar.

Mujhe nahi malum ke ye ehsaas kab pura hoga par mujhe uski jarurat aaj bhi hai jiske bina shayad ye hamesha hi adhura rahega.

Dosto its 2.00 a.m., take care, i promise i'll be back soon

writtten by Sameer

Friday, December 19, 2008

feelings



feelings (1)

Hum log Dosti ko Pyaar aur Pyaar ko dosti ka naam dete hain, Lekin main aaj tak nahi samajh paya ke mujhe pyaar huya hai ya dosti coz I feel dosti ho ya pyaar dono hi ek ehsaas hai jo hum kisi aise insaan ke liye apne mann mein rakhte hain jo hamare bahut hi kareeb hota hai ya fir wo jise hum apna samjh lete hain, shayad itna apna ke uske aage kuchh aur nahi. Par ye hai kya Dosti ya Pyaar, samjhne mein hi waqt nikal jata hai. Main isme sirf ik aise dost ki feelings bata raha hu jiske liye uska dost bahut mayane rakhta hai par uske dost ke liye koi aur……… haan jise wo pyaar karta hai. Ye baatein sirf wo hi insaan samjh sakta hai jo dosti aur pyaar ke rishte ko samjh sakta hai. Jisko apne dost ki feelings ki bhi parwah hai. Mujhe ab tak apna pyaar to nahi mil paya par aise dost jarur mile hain jo sirf apne pyaar ke liye mujhe chhod ke chale gaye ya fir koi aisa hai jise maine chhod diya wo bhi apne pyaar ke liye, aisa wo sochta hai, par main use kuchh nahi keh sakta kyuki main bhi majboor hu, Dosti ki kuchh misunderstandings hi hamare rishte ko khatam kar gayi hain. Lekin shayad ab bahut der ho chuki hai aur ab……….ab kuchh nahi bach gaya hai. Lekin uski feelings kya hain mere liye wo main achhi trah samjh sakta hu. Kehte hain ke bhagwan sab ko ek jaise din dikhata hai shayad isliye aaj hum ek dusre ke paas hote huye bhi bahut dur hain. So friends please kabhi dost ko mat chhodo wo bhi apne pyaar ke liye. Main manta hu ki jab pyaar hota hai to dost ki jagah nahi rehti hamari zindagi mein par ye bhi sach hai ke dost hi dur rehkar bhi hamare sabse kreeb rehta hai.

I don’t understand ki agar koi ladka aur ladki dost hain to log unke relation ko sirf pyar ka naam hi kyu dete hain? Jab do ladke best friends ban sakte hain to ek ladka aur ladki kyu nahi? Kya unme kabhi dosti nahi ho sakti? Kya unki feelings ek dusre ke liye sirf achhi dosti tak nahi rehti.

I strictly believe ke ek ladka aur ek ladki ache nahi, balki bahut achhe friends ban sakte hain shayad do ladko se bhi ache. Bas sharat ye hoti hai k unko ek dusre par vishwas kitna hai. Jab tak unme vishwas ka dhaga kachha hai wo ek dusre ko samajh nahi payenge. Main manta hu k ek ladki ko kisi ladke par vishwas karne ke liye waqt chahiye to kya ek ladke ko bas milte hi vishwas kar lena chahiye? Kya use us ladki ko jan-ne ka mauka nahi milna chahiye? Kya use waqt nahi chahiye? Ladko par vishwas karna mushkil aur ladki par mushkil nahi, kyu, aisa kyu hota hai ?

Dosti jise shayad hum kabhi nahi samjh pate aur shayad bas kuch misunderstandings ki wajah se hi raste mein chhod jate hain, bina ye jane ke wo dusra insaan jiske liye hum bahut ehmiyat rakhte hain, uski feelings kya hai hamare liye, hume uski koi parwah nahi, kyuki shayad sach mein hume uski koi parwah nahi hoti. Ho sakta hai us waqt koi aur hamare kareeb ho jata hai, par ye bhi to galat hai kisi apne ke liye hum us insaan ki feelings ko hurt kare jiske liye hum bahut kuchh hain. Hum kyu bhul jate hain koi hai jo shayad bina kahe, bina kisi sawarth ke hamari care karta, humse pyaar krta hai lekin, hum usse anjaan rehte hain, ya shayad jaan bujh kar aisa karne lagte hain, sirf is liye, kyuki wo sirf hamara dost hai hamara pyaar nahi.

Hum aisa kyu karte hain kya us insaan ke kuchh sapne nahi hain hamare liye? Kya use hume apna pyaar dene ka koi haq nahi hai? Hum kyu chhod dete hain us insaan ko jo hum par vishwaas karta hai, kyu tod dete hain uske vishwaas ko? Kyu uski koi parwah nahi rehti, bas is liye ke wo sirf hamara dost hai hamara pyaar nahi.

Agar aisa hi karna hota hai to hum kyu use apni zindagi mein ek jagah dete hain, jise wo chhodta hai to use dukh hota hai, par hume……….. koi fark nahi padta. Arey agar aisa hi karna hota hai to hum use apni zindagi mein laate hi kyu hain? Kyu use ye sapne dikhate hain ke uske bina hum adhure hain? Kyu usko ye vishwaas dilate hain ke uske paas ek dost hai jise wo apne mann ki har baat keh sakta hai.?

Har insaan dosti ka majak uda jata hai. Kisi ko kisi ki feelings ka koi khayal nahi hai. Ek insaan jo hamare liye kuchh bhi kar sakta hai, kyu hum use hurt karte hain? aur ek taraf wo…………, chahe jitna bhi hurt ho par uf tak nahi karta, kyuki wo usi mein khush hai. Uski khushi to hamari khushi mein hoti hai. Aur hamari khushi shayad usko ye ehsaas dila ke ki ab teri jarurat nahi hai shayad ab mere paas wo insaan hai jiski mujhe talash thi. Aur dost ka kya hai wo to mil hi jate hain. Kya kisi dost ki feelings hamare liye koi mayane nahi rakh sakti. Aksar hum us insaan ko nazarandaz karte hain jiske liye hum khush nahi ho sakte par wo hamari har khushi mein shamil hota hai. Ho bhi kyu woe k dost hai hamara pyaar nahi.

Dosti ho ya pyaar, ye to bas ek aisa ehsaas hai jo hume sikhata hai ke hume kisi ko kya dena hai aur kaise dena hai. Hum kisi ko de hi kya sakte hain, bas thodi si care, pyaar, vishwaas aur respect jo shayad hume khud ko na mile to apne aap ko adhura sa lagta hai, kuchh kami si lagti hai. lekin agar ye dene mein bhi hum sochte reh jayenge to shayad hum kabhi kisi ko kuchh nahi de sakte.

Main manta hu ke hume hamesha aise do insaan milte hain jo hume khud se jyada pyaar karte hain aur hum sirf ek ko aur jo dusra hota hai wo hota hai hamra sabse achha dost jise shayad hum to bhula sakte hain par wo hame kabhi nahi bhula sakta Jab kabhi wo insaan jise hum pyaar karte hain hume ignore karta hai to hume bahut dukh hota hai par jab hum apne dost ko ignore karte hain to ye kyu nahi sochte ke wo kitna hurt ho raha hai? Bas isliye kyuki wo sirf hamara dost hai hamara pyaar nahi.

Kya humne kabhi dost ko samjha hai kya hai ye dost ? Hamare liye koi bhi insaan jo hume mil jata hai jise hum thode din mein jan-ne lagte hain wo hamara dost hai, par kya ye sach hai? Haan dost bnana to aasan hai par dosti nibhana its difficult coz kisi ko samjhna aur uska saath dena bahut mushkil hai. Aur baat sirf ek dost ki ho to fir to bahut hi mushkil hai kyuki wo sirf ek dost hai hamara pyar nahi.

Dost jo shayad hamari zindagi ke har pal ka dhyan humse jyada rakhta hai. Jise humse jyada hamare bare mein pata hota hai, jise humse jyada hamari fikar hoti hai, jise hamare aane se pehle hamare aane ka ehsaas hota hai, jo bina kahe hi hume samjh sakta hai, jise hamari har jarurat ka khayal humse jyada hota hai, jiski har dua mein bhi hamara hi naam hota hai, par hum kyu nahi samjhte uski feelings ko?bas isliye kyuki wo sirf hamara dost hai hamara pyar nahi.

Dost wohi hota hai jo hamesha har mushkil mein hamara sath deta hai aur shayad jab mushkil mein hote hain to hi hume yaad aata hai. I feel ke dost wo nahi jo hume galti karne se rokta hai, jise pata ho ke hum jo kar rahe hain wo galat hai, aur agar galati kar lete hain to hume kehta hai ke main kuchh nahi kar sakta tumne khud galati ki hai tum hi bhugto, par sacha dost to wo hai jo jante huye bhi ke aapne uske rokne par bhi galati ki hai, aapke galati karne ke baad bina kuchh kahe bas itna kehde ke “you don’t worry” main hu na. Koi bhi mushkil ho main tujhe nikal lunga, tu girne laga to sambhal lunga aur agar gir bhi gaya to tujhe sahara dunga. Chahe wo har pal hamare sath hai, har pal hume sambhalta hai par hume usse kya kyuki wo sirf hamara dost hai hamara pyar nahi.

Dost agar ladka hai aur agar wo kisi ladki ki care karta hai, agar har pal uske bare mein sochta hai to use pyaar kaha jata hai. Main puchhta hu ke agar wo pyaar karta bhi hai to kya galat hai. Agar wo ladki ki care karta bhi hai to usme kya burayi hai, hum log unhe galat kyu samjhte hai, arey log hi kya wo ladki khud bhi yahi sochti hai k shayad us ladke se dosti karke usne galati ki kyuki wo sirf uska dost hai uska pyaar nahi.

Main manta hu ke jise hum pyar karte hain usse hamari expectations bahut badh jati hain. Lekin agar ek ladka ek apni dost se kuchh expectations rakhtaS hai to usme galat hi kya hai par haan wo kabhi shayad use nahi keh payega coz use pata hai ke wo kisi aur se pyaar karti hai aur wo isi mein khush hai k wo ladki khush hai, par ye jaruri to nahi ke is ehsaas ko pyaar ka naam hi diya jaye, kya ye ehsaas kisi dost ke liye nahi ho sakta hai. Wo sirf is liye us ladki ke sath hota hai ke agar wo kahi galat bhi hai to wo use sambhal lega, chahe kuchh bhi ho, chahe har insaan use ek raaste pe aakar uska saath chhod jaye par wo hamesha use ye ehsaas dilane ke liye uske paas rehta hai ke main hamesha se tumhare saath hu, tumhare paas hu. Lekin wo ladki uske is ehsaas ko kabhi nahi samjh payegi kyuki wo sirf uska dost hai uska pyaar nahi.

Kyu hum apne dil mein ye baat bana kar rakhte hain ke jise hum pyaar karte hain wo hi hamare liye sab kuchh hai aur hamare dost sirf jab jarurat pade to hume chahiye. Jyadatar log bas aisa hi karte hain jab dost ki jarurat ho use yaad karo or baki ek insaan jise wo chahte hain wo to unke paas hai na, aur unhe kya chahiye, par kabhi ye socha ke us dost ko kaisa lagta hoga jab jarurat padne par hi hum use yaad karte hain, kya sirf jarurat ka naam hi to dosti nahi hai? Shayad hamari soch hi aisi hai ke dost to dost hai jab kabhi yaad karege aa hi jayega, usne kahan jana hai, hamare bina usne jana hi kahan hai, par agar wo dost hi aapse ruth kar chala jaye to …………………..???????? Shayad iska jawab hum khud apne aap se puchh sakte hain ke wo hume chhod kar gaya hi kyu, humne aisi kaun si galati ki jisse ruth kar wo humse dur chala gaya, kya humne uski kabhi parwah ki?, kya kabhi humne use puchha ke tu mujhse kya expect karta hai? Kya kabhi uske paas jakar puchha tujhe meri jarurat to nahi? Lekin kyu puchhe wo sirf dost hai hamara pyaar nahi.

Hume hamesha is baat ka intzaar rehta hai ke jis dost ko hum pyaar karte hai, jiski hum care karte hain, kabhi wo bhi hume pyaar dega, kabhi wo bhi hamare liye sochega, kabhi wo bhi hamari care karega. Lekin aksar ye sab ek sapna ban kar hi reh jata hai kyuki aisa bahut kam hota hai ya fir kabhi nahi hota is ka karan hai ke hum ye bhul jate hain ke hum sirf ek dost hain us insaan ka pyaar nahi jise shayad hum khud se bhi jyada mante hain.

Hum kabhi use jakar nahi kehte ke tujhe jo chahiye bol main dunga tujhe, kabhi wo toot bhi raha ho to use jakar apna sahara nahi nahi dete, kabhi uske girte aansuyo ko nahi rokte, kabhi uske sar par hath rakhkar nahi kehte ke teri har problem meri hai, kabhi ye nahi kehte ke mujhe teri dosti chahiye, kbhi usko thanx nahi kehte ke tere jaisa dost mujhe nahi mila, kabhi ye nahi kehte ke tere bina mera koi aur sahara nahi ban sakta, arey kahen bhi kyu yaar wo kaun sa hamara pyaar hai wo to sirf ek dost hai.

Kitne khudgarj hain hum log jo apne dost ki feelings ko nahi jaan sakte, ya fir yu kahe ke kabhi uske bare mein sochna hi nahi chahte, kyuki hum use ek jagah de chuke hain or us jagah pe pata nahi kitne aur log hain, aur wo jagah hai dost ki, pata nahi kitne hi aur dost hain kis kis ke bare mein soche aur is wajah se hum us khas insaan ko bhi nahi puchhte.lekin agar ye baat hamare pyaar ke liye ho to hum kisi ko bhi chhod sakte hain chahe wo koi bhi rishta ho hum tod sakte hain, bina kuchh soche samjhe, kya hum apne dost ke liye kabhi apne pyaar ko chhod sakte hain, …………………..??????? Nahi shayad kabhi nahi kyuki wo hamara pyaar hai hamara dost nahi. Aur dost ko to hum kabhi bhi chhod sakte hain.

Jise hum pyaar karte hain agar wo koi galati kare to hum uski galati ko dekhkar bhi andekha kar dete hain par agar koi chhoti si bhi galati hamara dost karde to………….? To use har pal us galati ka ehsaas dilate hain. Har pal use yaad dilate hain ke teri wajah se ye huya hai, bina ye jane ke us dost pe kya beet rahi hai, chahe wo galati usne hamari wajah se ki ho par fir bhi hum kabhi uska saath nahi denge, kabhi ye bhi nahi jan-na chahenge ke kahi use hamari jarurat to nahi hai? Kahi wo hamare bina akela to nahi ho jayega. Aakhir kyu soche wo kaun sa hamara pyar hai wo to sirf ek dost hai.

Hume kabhi is baat ka ehsaas nahi hota ke hamara dost bhi hume kuchh kehna chahta hai, humse kuchh sun-na chahta hai.Use kabhi itna bhi nahi puchhte ke “kaise ho” par chahe us insaan ko jise hum pyaar karte hain baar baar puchhte rahe. Din ho ya raat usse baat kare bina kuchh pal nahi guzar sakte par kya kabhi dost ko khud apne aap phone karke bhi puchhte hain ke kaise ho? Wo har subha se sham tak bas ye intzar karta hai ke shayad aaj hum khud use puchhenge par hamare paas uske liye waqt kahan hai, hamare paas agar waqt hai to sirf uske liye jise hum pyaar karte hain. Hum sara din uske saath baat kar sakte hain par apne dost ke liye do pal bhi nahi hote. Par hum uske sath baat kare bhi to kyu wo kaun sa hamara pyaar hai wo to dost hai.

Mere liye mere dost hamesha aise hote hain jaise hamare parents ke liye hum, hamesha unse pyaar kiya, unki care ki, unhe respect di, unki har galati mein unka saath diya, par kuchh dost hi aise mile jinke liye sahyad ye sab words pyaar, care, vishwaas, respect koi ehmiyat nahi rakhte the aur agar koi ehmiyat thi bhi to bas kisi aur ke liye jinhe wo sabse jyada pyaar karte the. Maine kabhi unse ye expect nahi kiya par hota to hamesha wahi hai na jo kabhi expect nahi kiya jata.

Dear Friends its 3:30 a.m. now so abhi tak ke liye itna hi , hope all you’ll like my feelings or I can say our feelings jo shayad hum us insaan se kabhi nahi keh sakte jise hum apna dost samjhte hain, jiski hume fikar hai par use hamari nahi……………anywayz ye dosti ka ehsaas kabhi khatam nahi ho sakta ye yuhi chalta rahega aur hamari feelings hamesha badhti hi hain par us dost ko kya, aakhir hum to uske liye sirf dost hain uska pyaar nahi.


Please friends forward this link to others so that they can leave their comments & feelings.



Its true and happened with most of us.

By Sameer

+91-98728-39621

Will be back……………………………………………...to be continue……………….